Arambh hai prachand - Gulaal



Arambh hai prachand, Bole mastakon ke jhund
Aaj jang ki ghadi ki tum guhar do

Arambh hai prachand, Bole mastakon ke jhund
Aaj jang ki ghadi ki tum guhar do
Aan baan shaan, ya ki jaan ka ho daan
Aaj ek dhanush ke baan pe utar do

Arambh hai prachand, Bole mastakon ke jhund
Aaj jang ki ghadi ki tum guhar do
Aan baan shaan, ya ki jaan ka ho daan
Aaj ek dhanush ke baan pe utar do

Arambh hai prachand.....................

Man kare so pran de jo man kare so pran le
Wahi to ek sarva shaktiman hai

Man kare so pran de jo man kare so pran le
Wahi to ek sarva shaktiman hai
Krishna ki pukar hai, yeh bhagwat ka saar hai
ke yuddha hi to veer ka praman hai
Kauravon ki bheed ho ya pandavon ka need ho
jo lad saka hai wo hi to mahan hai

Jeet ki hawas nahi, kisi pe koi vash nahi
kya zindagi hai thokaron me maar do
Maut anta hai nahi, to maut se bhi kyun daren
Yeh jaake aasman pe dahad do

Arambh hai prachand, Bole mastakon ke jhund
Aaj jang ki ghadi ki tum guhar do
Aan baan shaan, ya ki jaan ka ho daan
Aaj ek dhanush ke baan pe utar do

Arambh hai prachand.....................

Ho daya ka bhav, ya ke shaurya ka chunav
ya ke haar ka wo ghaav tum yeh soch lo
Ya ke purebhaal par jala rahe vijay ka laal 
Laal  ye gulaal tum yeh soch lo
Rang kesari ho ya mridang kesari ho 
ya ke kesari ho taal tum ye soch lo

Jis kavi ki kalpana me zindagi ho prem geet 
us kavi ko aaj tum nakar do
Bheegti nason me aaj, phoolati ragon me aaj
Aag ki lapat ka tum baghar do

Arambh hai prachand, Bole mastakon ke jhund
Aaj jang ki ghadi ki tum guhar do
Aan baan shaan, ya ki jaan ka ho daan
Aaj ek dhanush ke baan pe utar do

Arambh hai prachand.....................
Arambh hai prachand.....................
Arambh hai prachand.....................


 



No comments:

Post a Comment